zara si der charaghon ka dil bahal jae
zarā sī der charāġhoñ kā dil bahal jaa.e
ye āftāb kahīñ aur jā ke jal jaa.e
ḳhudā parindoñ ke zyāda qarīb rahtā hai
ajab nahīñ ki shikārī kā tiir jal jaa.e
maiñ roz roz to chehre nahīñ badal saktā
kisī ko bhej mire aa.ine badal jaa.e
use girā ke hī aage agar nikalnā hai
ḳhudā kare ke mirā rāstā badal jaa.e
maiñ chāhtā huuñ tire dil meñ der se pahuñchūñ
maiñ chāhtā huuñ ki pahle mirī ġhazal jaa.e
maiñ is liye bhī tirā zikr roz kartā huuñ
kisī maqām pe shāyad ye dil sañbhal jaa.e
zara si der charaghon ka dil bahal jae
ye aaftab kahin aur ja ke jal jae
KHuda parindon ke zyaada qarib rahta hai
ajab nahin ki shikari ka tir jal jae
main roz roz to chehre nahin badal sakta
kisi ko bhej mere aaine badal jae
use gira ke hi aage agar nikalna hai
KHuda kare ke mera rasta badal jae
main chahta hun tere dil mein der se pahunchun
main chahta hun ki pahle meri ghazal jae
main is liye bhi tera zikr roz karta hun
kisi maqam pe shayad ye dil sanbhal jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.