zara sochiyega ki kya kar chale
zarā sochiyegā ki kyā kar chale
mohabbat meñ tum ko ḳhudā kar chale
na apnā faqat ham bhalā kar chale
sabhī ḳhush raheñ ye du'ā kar chale
yaqīnan hai sachchā masīhā vahī
gale jo sabhī ko lagā kar chale
ġham-e-zindagī hai bahut qīmtī
zamāne se ham yuuñ chhupā kar chale
kabhī ā.eñge tum se milne zarūr
abhī to faqat ham pata kar chale
mohabbat meñ pāgal hue is qadar
raqīboñ se bhī ham vafā kar chale
kabhī lauT kar un ko aanā na thā
bahāna nayā ik banā kar chale
jo maqsad zamāne meñ laa.e the tum
vo kyā aap 'hashmat' adā kar chale
zara sochiyega ki kya kar chale
mohabbat mein tum ko KHuda kar chale
na apna faqat hum bhala kar chale
sabhi KHush rahen ye du'a kar chale
yaqinan hai sachcha masiha wahi
gale jo sabhi ko laga kar chale
gham-e-zindagi hai bahut qimti
zamane se hum yun chhupa kar chale
kabhi aaenge tum se milne zarur
abhi to faqat hum pata kar chale
mohabbat mein pagal hue is qadar
raqibon se bhi hum wafa kar chale
kabhi lauT kar un ko aana na tha
bahana naya ek bana kar chale
jo maqsad zamane mein lae the tum
wo kya aap 'hashmat' ada kar chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.