zara Thahro meri haalat sanbhal jae to phir jaana
zarā Thahro mirī hālat sañbhal jaa.e to phir jaanā
dil-e-betāb thoḌā sā bahal jaa.e to phir jaanā
abhī to furqatoñ ke sehr se niklā nahīñ huuñ maiñ
tumhāre vasl kā jaadū ye chal jaa.e to phir jaanā
jamī haiñ dhaḌkaneñ to munjamid haiñ merī sāñseñ bhī
badan meñ zindagī thoḌī machal jaa.e to phir jaanā
abhī jaao na tum jakḌā huā hai dard ne mujh ko
tumhāre dard kā lohā pighal jaa.e to phir jaanā
tumhāre vasl se jiine kī ḳhvāhish phir se janmī hai
ye nannhī sī tamanna phūl-phal jaa.e to phir jaanā
zara Thahro meri haalat sanbhal jae to phir jaana
dil-e-betab thoDa sa bahal jae to phir jaana
abhi to furqaton ke sehr se nikla nahin hun main
tumhaare wasl ka jadu ye chal jae to phir jaana
jami hain dhaDkanen to munjamid hain meri sansen bhi
badan mein zindagi thoDi machal jae to phir jaana
abhi jao na tum jakDa hua hai dard ne mujh ko
tumhaare dard ka loha pighal jae to phir jaana
tumhaare wasl se jine ki KHwahish phir se janmi hai
ye nannhi si tamanna phul-phal jae to phir jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.