zara zara si baat par wo mujhse bad-guman rahe
zarā zarā sī baat par vo mujh se bad-gumāñ rahe
jo raat din the mehrbāñ vo ab na mehrbāñ rahe
judā.iyoñ kī lazzatoñ kī vus.ateñ nahīñ rahīñ
vo ḳhush-ḳhayāl vasl ban ke mere darmiyāñ rahe
paheliyāñ bujhāo mat bahāne ab banāo mat
yahīñ kahīñ nahīñ the tum batāo phir kahāñ rahe
vo mere saath kab na the gila karūñ jo maiñ bhalā
zarā zarā sī baat kā fuzūl kyuuñ bayāñ rahe
na jhiil koī shahr meñ talayyā-tāl bhī nahīñ
ye lashkar-e-parind phir batā.iye kahāñ rahe
mohabbateñ muravvateñ lihāz yā ḳhulūs ho
sabhī haiñ dar-ba-dar ki ab na in ke qadr-dāñ rahe
masarratoñ kī dhuup un ke flat meñ hai raat din
hamāre ġham kī bastiyoñ meñ karb-e-jāvedāñ rahe
zarā zarā sī baat par bichhaḌ gayā jo be-sabab
anā va zid kī kashmakash meñ ham yahāñ vahāñ rahe
ye āsmāñ kī tīrgī numā.ishoñ kī raushnī
'kañval' tumhārī raah meñ hamesha kahkashāñ rahe
zara zara si baat par wo mujh se bad-guman rahe
jo raat din the mehrban wo ab na mehrban rahe
judaiyon ki lazzaton ki wusaten nahin rahin
wo KHush-KHayal wasl ban ke mere darmiyan rahe
paheliyan bujhao mat bahane ab banao mat
yahin kahin nahin the tum batao phir kahan rahe
wo mere sath kab na the gila karun jo main bhala
zara zara si baat ka fuzul kyun bayan rahe
na jhil koi shahr mein talayya-tal bhi nahin
ye lashkar-e-parind phir bataiye kahan rahe
mohabbaten murawwaten lihaz ya KHulus ho
sabhi hain dar-ba-dar ki ab na in ke qadr-dan rahe
masarraton ki dhup un ke flat mein hai raat din
hamare gham ki bastiyon mein karb-e-jawedan rahe
zara zara si baat par bichhaD gaya jo be-sabab
ana wa zid ki kashmakash mein hum yahan wahan rahe
ye aasman ki tirgi numaishon ki raushni
'kanwal' tumhaari rah mein hamesha kahkashan rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.