zard hone se hara hone se kya hona hai
zard hone se harā hone se kyā honā hai
koī samjhā.e ki kyā hone se kyā honā hai
tū ne rahnā to yahīñ hai mire dil ke andar
merā matlab hai judā hone se kyā honā hai
achchhe logoñ ko hī rahtā hai mukāfāt kā ḳhauf
vo burā hai to burā hone se kyā honā hai
yaar āvāz to de koī ishārā to kare
sirf khiḌkī meñ khaḌā hone se kyā honā hai
apnā hone nahīñ detā mujhe hone kā dukh
aise 'ālam meñ tirā hone se kyā honā hai
baat tab ho ki koī aañkh bhī rasta dekhe
sirf darvāza khulā hone se kyā honā hai
bas yahī hogā ki mil jā.eñge kuchh dard na.e
aur to shahr nayā hone se kyā honā hai
faisla vo jise hāsil ho sanad logoñ kī
sirf kāġhaz pe likhā hone se kyā honā hai
jab ki is shahr ke sab log haiñ andhe bahre
harf hone se sadā hone se kyā honā hai
zard hone se hara hone se kya hona hai
koi samjhae ki kya hone se kya hona hai
tu ne rahna to yahin hai mere dil ke andar
mera matlab hai juda hone se kya hona hai
achchhe logon ko hi rahta hai mukafat ka KHauf
wo bura hai to bura hone se kya hona hai
yar aawaz to de koi ishaara to kare
sirf khiDki mein khaDa hone se kya hona hai
apna hone nahin deta mujhe hone ka dukh
aise 'alam mein tera hone se kya hona hai
baat tab ho ki koi aankh bhi rasta dekhe
sirf darwaza khula hone se kya hona hai
bas yahi hoga ki mil jaenge kuchh dard nae
aur to shahr naya hone se kya hona hai
faisla wo jise hasil ho sanad logon ki
sirf kaghaz pe likha hone se kya hona hai
jab ki is shahr ke sab log hain andhe bahre
harf hone se sada hone se kya hona hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.