zard mausam ki aziyyat bhi uThane ka nahin
zard mausam kī aziyyat bhī uThāne kā nahīñ
maiñ daraḳhtoñ kī jagah ḳhud ko lagāne kā nahīñ
ab tire saath ta'alluq kī guzargāhoñ par
vaqt mushkil hai magar haath chhuḌāne kā nahīñ
qarya-e-sabz se aatī huī pur-kaif havā
taaq par rakkhā mirā diip bujhāne kā nahīñ
sabr kā ġhāza mire 'ishq kī zīnat Thahrā
so maiñ āñkhoñ se koī ashk bahāne kā nahīñ
chal rahā thā to sabhī log mire baazū the
gir paḌā huuñ to koī haath baḌhāne kā nahīñ
mujh ko ye mīr-taqī-'mīr' batāte haiñ 'sa'īd'
'ishq karnā hai magar jaan se jaane kā nahīñ
zard mausam ki aziyyat bhi uThane ka nahin
main daraKHton ki jagah KHud ko lagane ka nahin
ab tere sath ta'alluq ki guzargahon par
waqt mushkil hai magar hath chhuDane ka nahin
qarya-e-sabz se aati hui pur-kaif hawa
taq par rakkha mera dip bujhane ka nahin
sabr ka ghaza mere 'ishq ki zinat Thahra
so main aankhon se koi ashk bahane ka nahin
chal raha tha to sabhi log mere bazu the
gir paDa hun to koi hath baDhane ka nahin
mujh ko ye mir-taqi-'mir' batate hain 'sa'id'
'ishq karna hai magar jaan se jaane ka nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.