zard mausam mein nae phul khilane wale
zard mausam meñ na.e phuul khilāne vaale
mundamil kar na sake zaḳhm purāne vaale
kaun saudā-e-duā kartā hai zaḳhmoñ ke evaz
ham kahāñ aur kahāñ log zamāne vaale
fursat-e-ḳhvāb kahāñ aise hue haiñ bedār
tere jhoñke bhī nahīñ niiñd meñ laane vaale
chāshnī jā nahīñ saktī kabhī lafzoñ se tirī
chāhe mazmūn dar aa.eñ ka.ī aane vaale
dekhnā turra-e-shah sā vo ma.āl-o-hañgām
sar bhī dhar jā.eñge dastār bachāne vaale
fikr dāmāñ kī nahīñ karte nikal aate haiñ
ik hī silvaT pe ka.ī harf uThāne vaale
aaj garche nahīñ ik roz kareñge charchā
mere ahbāb nahīñ mujh ko bhulāne vaale
zard mausam mein nae phul khilane wale
mundamil kar na sake zaKHm purane wale
kaun sauda-e-dua karta hai zaKHmon ke ewaz
hum kahan aur kahan log zamane wale
fursat-e-KHwab kahan aise hue hain bedar
tere jhonke bhi nahin nind mein lane wale
chashni ja nahin sakti kabhi lafzon se teri
chahe mazmun dar aaen kai aane wale
dekhna turra-e-shah sa wo maal-o-hangam
sar bhi dhar jaenge dastar bachane wale
fikr daman ki nahin karte nikal aate hain
ek hi silwaT pe kai harf uThane wale
aaj garche nahin ek roz karenge charcha
mere ahbab nahin mujh ko bhulane wale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.