Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zard patton ke tasawwur se Dari rahti hai

Shahid Jameel

zard patton ke tasawwur se Dari rahti hai

Shahid Jameel

MORE BYShahid Jameel

    zard pattoñ ke tasavvur se Darī rahtī hai

    dil ke gulshan meñ koī sabz parī rahtī hai

    mausam-e-dard meñ har peḌ bikhar jaatā hai

    ek ummīd vo shāḳh harī rahtī hai

    vaqt dhuup tapish laakh ugā le dil par

    ek goshe meñ magar thoḌī tarī rahtī hai

    dil vo patthar hai jo har mauj sahā kartā hai

    ġham vo naddī hai jo har vaqt bharī rahtī hai

    fikr-e-mahbūb ġham-e-duniyā ḳhayāl-e-masjūd

    be-ḳhudī aise masā.il se barī rahtī hai

    TūTtā rahtā hai kamre meñ añdherā 'shāhid'

    dhuup dīvār ke us paar dharī rahtī hai

    zard patton ke tasawwur se Dari rahti hai

    dil ke gulshan mein koi sabz pari rahti hai

    mausam-e-dard mein har peD bikhar jata hai

    ek ummid ki wo shaKH hari rahti hai

    waqt ki dhup tapish lakh uga le dil par

    ek goshe mein magar thoDi tari rahti hai

    dil wo patthar hai jo har mauj saha karta hai

    gham wo naddi hai jo har waqt bhari rahti hai

    fikr-e-mahbub gham-e-duniya KHayal-e-masjud

    be-KHudi aise masail se bari rahti hai

    TuTta rahta hai kamre mein andhera 'shahid'

    dhup diwar ke us par dhari rahti hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now