zard pinjar hinhinae samne khai na thi
zard pinjar hinhinā.e sāmne khaa.ī na thī
jis kā ḳhadsha ham ko bhī thā vo ghaḌī aa.ī na thī
paara paara jism-o-jāñ lā-manzarī gum-gashtagī
thī qabā ārāsta shamshīr lahrā.ī na thī
kaaT kar dast-e-duā jeboñ meñ rakh kar chal diye
dhuup sañvlā.ī thī banjar par ghaTā chhā.ī na thī
rāt-bhar ma.abad meñ raqs-e-ātishīñ hotā rahā
barf palkoñ se haTāne kī tavānā.ī na thī
rāhvār-e-abr par aa.e the jaane kyā hue
ham bhī chal ke aa.e the paanī meñ gahrā.ī na thī
sāhiloñ par sab umaD aa.e gharoñ ko chhoḌ kar
ham samajhte the kisī se bhī shanāsā.ī na thī
zard pinjar hinhinae samne khai na thi
jis ka KHadsha hum ko bhi tha wo ghaDi aai na thi
para para jism-o-jaan la-manzari gum-gashtagi
thi qaba aarasta shamshir lahrai na thi
kaT kar dast-e-dua jebon mein rakh kar chal diye
dhup sanwlai thi banjar par ghaTa chhai na thi
raat-bhar mabad mein raqs-e-atishin hota raha
barf palkon se haTane ki tawanai na thi
rahwar-e-abr par aae the jaane kya hue
hum bhi chal ke aae the pani mein gahrai na thi
sahilon par sab umaD aae gharon ko chhoD kar
hum samajhte the kisi se bhi shanasai na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.