zard ruKHsaron mein Dhal jaane ka fan
zard ruḳhsāroñ meñ Dhal jaane kā fan
phūloñ ko aatā hai kumhlāne kā fan
aadmī ik shahr kī buniyād hai
jāntā hai paañv phailāne kā fan
kyā hue jo gul khilātī thī sabā
kyā huā vo ḳhushbū phailāne kā fan
ghere rahtī haiñ hazār āñkheñ use
jis ko aatā hai nazar aane kā fan
raah kā patthar huuñ mujh se pūchhiye
Thokaroñ par Thokareñ khāne kā fan
jāntā hai koī koī aadmī
aadmī ko kaam meñ laane kā fan
shahr meñ yūsuf ko tanhā kar gayā
apne apne chehre chamkāne kā fan
zard ruKHsaron mein Dhal jaane ka fan
phulon ko aata hai kumhlane ka fan
aadmi ek shahr ki buniyaad hai
jaanta hai panw phailane ka fan
kya hue jo gul khilati thi saba
kya hua wo KHushbu phailane ka fan
ghere rahti hain hazar aankhen use
jis ko aata hai nazar aane ka fan
rah ka patthar hun mujh se puchhiye
Thokaron par Thokaren khane ka fan
jaanta hai koi koi aadmi
aadmi ko kaam mein lane ka fan
shahr mein yusuf ko tanha kar gaya
apne apne chehre chamkane ka fan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.