Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zard sukhe hue chehre nahin achchhe lagte

Abdur Rauf Anjum

zard sukhe hue chehre nahin achchhe lagte

Abdur Rauf Anjum

MORE BYAbdur Rauf Anjum

    zard sūkhe hue chehre nahīñ achchhe lagte

    vaqt se pahle buḌhāpe nahīñ achchhe lagte

    apne hāthoñ se jinheñ qatl kiyā hai ham ne

    un ke chaurāhoñ pe putle nahīñ achchhe lagte

    jin kapḌoñ meñ bhī uryāñ nazar aatā hai badan

    un ke darvāzoñ pe parde nahīñ achchhe lagte

    maañ mamtā meñ bhī laatī hai kamī bekārī

    ghar meñ baiThe hue beTe nahīñ achchhe lagte

    baap se rote hue bachche ne jhuñjhlā ke kahā

    bhuuk meñ khel khilaune nahīñ achchhe lagte

    darmiyāñ kachche gharoñ ke ye makānāt ūñche

    in amīroñ ke irāde nahīñ achchhe lagte

    hādse qatl fasād ābrū-rezī aġhvā

    chhoḌiye roz ye qisse nahīñ achchhe lagte

    mulk sarhadeñ kahne lagīñ ro kar 'anjum'

    shahr meñ fauj ke daste nahīñ achchhe lagte

    zard sukhe hue chehre nahin achchhe lagte

    waqt se pahle buDhape nahin achchhe lagte

    apne hathon se jinhen qatl kiya hai hum ne

    un ke chaurahon pe putle nahin achchhe lagte

    jin ka kapDon mein bhi uryan nazar aata hai badan

    un ke darwazon pe parde nahin achchhe lagte

    man ki mamta mein bhi lati hai kami bekari

    ghar mein baiThe hue beTe nahin achchhe lagte

    bap se rote hue bachche ne jhunjhla ke kaha

    bhuk mein khel khilaune nahin achchhe lagte

    darmiyan kachche gharon ke ye makanat unche

    in amiron ke irade nahin achchhe lagte

    hadse qatl fasad aabru-rezi aghwa

    chhoDiye roz ye qisse nahin achchhe lagte

    mulk ki sarhaden kahne lagin ro kar 'anjum'

    shahr mein fauj ke daste nahin achchhe lagte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now