Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zarf us hasti-e-ma-fauq ka hona chaha

Sarosh Lucknowi

zarf us hasti-e-ma-fauq ka hona chaha

Sarosh Lucknowi

zarf us hastī-e-mā-fauq honā chāhā

maiñ ne qatre meñ samundar ko Dubonā chāhā

ġham o 'ishrat ko baham maiñ ne samonā chāhā

thaam kar dāman-e-mahbūb ko ronā chāhā

ġharq be-ishrat-e-paikār na honā chāhā

maiñ ne tūfān ko kashtī meñ Dubonā chāhā

dilkashī rāh-e-mohabbat ilāhī tauba

be-ḳhudī ne sar-e-manzil mujhe khonā chāhā

dāman-e-tar tarah ashk-e-nadāmat ne mire

hashr meñ nāma-e-a.amāl ko dhonā chāhā

'ishq ne husn aamad pe sajā manzar-e-chashm

har mizha meñ guhar-e-ashk pironā chāhā

ban ga.e ashk mire dost ke māthe araq

mahr ko rash.ha-e-shabnam ne bhigonā chāhā

ishq-e-gustāḳh allāh rāhat-talabī

rakh ke sar zānū-e-mahbūb pe sonā chāhā

dil ne ḳhud merī tabāhī uThāyā biiḌā

nā-ḳhudā ne mirī kashtī ko Dubonā chāhā

sa.i'-e-nākām ne kyā shaġhl nikālā āḳhir

āñsuoñ se ḳhat-e-taqdīr ko dhonā chāhā

zarf us hasti-e-ma-fauq ka hona chaha

main ne qatre mein samundar ko Dubona chaha

gham o 'ishrat ko baham main ne samona chaha

tham kar daman-e-mahbub ko rona chaha

gharq be-ishrat-e-paikar na hona chaha

main ne tufan ko kashti mein Dubona chaha

dilkashi rah-e-mohabbat ki ilahi tauba

be-KHudi ne sar-e-manzil mujhe khona chaha

daman-e-tar ki tarah ashk-e-nadamat ne mere

hashr mein nama-e-amal ko dhona chaha

'ishq ne husn ki aamad pe saja manzar-e-chashm

har mizha mein guhar-e-ashk pirona chaha

ban gae ashk mere dost ke mathe ka araq

mahr ko rashha-e-shabnam ne bhigona chaha

ishq-e-gustaKH ki allah ri rahat-talabi

rakh ke sar zanu-e-mahbub pe sona chaha

dil ne KHud meri tabahi ka uThaya biDa

na-KHuda ne meri kashti ko Dubona chaha

sai'-e-nakaam ne kya shaghl nikala aaKHir

aansuon se KHat-e-taqdir ko dhona chaha

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now