zarf us ka meri ummid se baDh kar nikla
zarf us kā mirī ummīd se baḌh kar niklā
maiñ ne dariyā jise samjhā vo samundar niklā
maiñ jise dhuup samajh kar kabhī ghabrātī thī
vo mere apne ḳhayālāt kā manzar niklā
ham ne jaanā thā jise saarī duniyā se alag
vo bhī duniyā ke rivājoñ hī kā ḳhūgar niklā
kho diyā jab to ehsās huā shiddat se
maiñ jise ḳhaar samajhtī thī gul-e-tar niklā
apne jazbāt ko is tarah se mahsūs kiyā
dil kā ik lafz kabhī bhī na zabān par niklā
kuchh fanā bhī na miTā paa.ī mohabbat kā vajūd
ā.īna TuuT ke kuchh aur bikhar kar niklā
'nāz' ḳhushbū mujhe har or se mahsūs huī
is chaman-zār kā har phuul mo.attar niklā
zarf us ka meri ummid se baDh kar nikla
main ne dariya jise samjha wo samundar nikla
main jise dhup samajh kar kabhi ghabraati thi
wo mere apne KHayalat ka manzar nikla
hum ne jaana tha jise sari duniya se alag
wo bhi duniya ke riwajon hi ka KHugar nikla
kho diya jab to ehsas hua shiddat se
main jise KHar samajhti thi gul-e-tar nikla
apne jazbaat ko is tarah se mahsus kiya
dil ka ek lafz kabhi bhi na zaban par nikla
kuchh fana bhi na miTa pai mohabbat ka wajud
aaina TuT ke kuchh aur bikhar kar nikla
'naz' KHushbu mujhe har or se mahsus hui
is chaman-zar ka har phul moattar nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.