zarra insan kabhi dasht-nagar lagta hai
zarra insān kabhī dasht-nagar lagtā hai
ba.az auqāt hameñ aisā bhī Dar lagtā hai
ham-nashīñ terī bhī āñkhoñ meñ jhalaktā hai dhuāñ
tū bhī min-jumla-e-arbāb-e-nazar lagtā hai
koī letā hai tirā naam to ruk jaatā huuñ
ab tirā zikr bhī sadiyoñ kā safar lagtā hai
ham pe bedād-garo sañg uThānā hai fuzūl
kahīñ uftāda daraḳhtoñ pe samar lagtā hai
mere dil meñ baḌe ā.īne haiñ tasvīreñ haiñ
sach batānā tumheñ kaisā mirā ghar lagtā hai
shab ke mahbūs haiñ sone kī ijāzat hī nahīñ
aañkh lagtī hai to dīvār se sar lagtā hai
'rām' is daur meñ qāmat kī bulandī ke liye
sar pe insān ke surḳhāb kā par lagtā hai
zarra insan kabhi dasht-nagar lagta hai
baz auqat hamein aisa bhi Dar lagta hai
ham-nashin teri bhi aankhon mein jhalakta hai dhuan
tu bhi min-jumla-e-arbab-e-nazar lagta hai
koi leta hai tera nam to ruk jata hun
ab tera zikr bhi sadiyon ka safar lagta hai
hum pe bedad-garo sang uThana hai fuzul
kahin uftada daraKHton pe samar lagta hai
mere dil mein baDe aaine hain taswiren hain
sach batana tumhein kaisa mera ghar lagta hai
shab ke mahbus hain sone ki ijazat hi nahin
aankh lagti hai to diwar se sar lagta hai
'ram' is daur mein qamat ki bulandi ke liye
sar pe insan ke surKHab ka par lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.