zarra mila to dasht ka ham-sar laga mujhe
zarra milā to dasht kā ham-sar lagā mujhe
qatra milā to vo bhī samundar lagā mujhe
pāgal havā ne chehre ko zaḳhmī sā kar diyā
ā.īna dekhte hue kal Dar lagā mujhe
shāḳh-e-gulāb huuñ na maiñ zaitūn kī qalam
āñgan meñ apne soch samajh kar lagā mujhe
jhulsā diyā hai mujh ko havādis kī aag ne
ai chārasāz barf ke andar lagā mujhe
maqtal meñ jab kisī ke bhī kāñdhe pe sar na thā
jo sar-burīda shaḳhs thā ham-sar lagā mujhe
'sarshār' vo charāġh jo āñdhī kī zad pe thā
bujh kar bhī raushnī kā payambar lagā mujhe
zarra mila to dasht ka ham-sar laga mujhe
qatra mila to wo bhi samundar laga mujhe
pagal hawa ne chehre ko zaKHmi sa kar diya
aaina dekhte hue kal Dar laga mujhe
shaKH-e-gulab hun na main zaitun ki qalam
aangan mein apne soch samajh kar laga mujhe
jhulsa diya hai mujh ko hawadis ki aag ne
ai chaarasaz barf ke andar laga mujhe
maqtal mein jab kisi ke bhi kandhe pe sar na tha
jo sar-burida shaKHs tha ham-sar laga mujhe
'sarshaar' wo charagh jo aandhi ki zad pe tha
bujh kar bhi raushni ka payambar laga mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.