Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zarre chamak uThe hain jidhar se guzar gae

Shahab Ashraf

zarre chamak uThe hain jidhar se guzar gae

Shahab Ashraf

MORE BYShahab Ashraf

    zarre chamak uThe haiñ jidhar se guzar ga.e

    duniyā Thahar ga.ī hai jahāñ tum Thahar ga.e

    kal mile the aaj ye hone lagā ḳhayāl

    dekhe hue kisī ko mahīne guzar ga.e

    ai iztirāb-e-shauq burā ho tirā ki ham

    jaate bhalā kisī galī meñ magar ga.e

    terā bhalā ho terī mohabbat ke chaar din

    duniyā kisī ġharīb barbād kar ga.e

    ai raat kyā tujhe bhī kisī hai intizār

    palkoñ se kyuuñ ye TuuT ke taare bikhar ga.e

    ik baar paḌh ke naam tirā aaj daf.atan

    dil par nuqūsh-e-ahd-e-mohabbat ubhar ga.e

    majbūriyoñ ne baḌh ke vahīñ dil dabā diyā

    nazreñ bachā ke paas se un ke guzar ga.e

    sharmā ke ek baar zarā muskurā to do

    dekho guloñ ke baaġh meñ chehre utar ga.e

    kyā jaane kyā guzartī kabhī tum se chhūT kar

    tum ne na nibāh ye ehsān kar ga.e

    dil par kisī chashm-e-ināyat bhī baar thī

    aise bhī din 'shahāb' kuchh apne guzar ga.e

    zarre chamak uThe hain jidhar se guzar gae

    duniya Thahar gai hai jahan tum Thahar gae

    kal hi mile the aaj ye hone laga KHayal

    dekhe hue kisi ko mahine guzar gae

    ai iztirab-e-shauq bura ho tera ki hum

    jate bhala kisi ki gali mein magar gae

    tera bhala ho teri mohabbat ke chaar din

    duniya kisi gharib ki barbaad kar gae

    ai raat kya tujhe bhi kisi ka hai intizar

    palkon se kyun ye TuT ke tare bikhar gae

    ek bar paDh ke nam tera aaj dafatan

    dil par nuqush-e-ahd-e-mohabbat ubhar gae

    majburiyon ne baDh ke wahin dil daba diya

    nazren bacha ke pas se un ke guzar gae

    sharma ke ek bar zara muskura to do

    dekho gulon ke bagh mein chehre utar gae

    kya jaane kya guzarti kabhi tum se chhuT kar

    tum ne na ki nibah ye ehsan kar gae

    dil par kisi ki chashm-e-inayat bhi bar thi

    aise bhi din 'shahab' kuchh apne guzar gae

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now