zarre ka raaz mehr ko samjhana chahiye
zarre kā raaz mehr ko samjhānā chāhiye
chhoTī sī koī baat ho laḌ jaanā chāhiye
ḳhvāboñ kī ek naav samundar meñ Daal ke
tūfāñ kī mauj mauj se Takrānā chāhiye
har baat meñ jo zahr ke nashtar lagā.e haiñ
aise hī dil-jaloñ se to yārāna chāhiye
kyā zindagī se baḌh ke jahannam nahīñ koī
ye sach hai phir to aag meñ jal jaanā chāhiye
duniyā vo shāhrāh hai bachnā muhāl hai
pagDanDiyoñ ko DhūñD ke apnānā chāhiye
nazmeñ vo hoñ ki chīḳh paḌeñ saare ahl-e-fan
nīñdeñ uḌā de sab kī vo afsāna chāhiye
bahroñ ko toḌ toḌ ke naale meñ Daal do
bas dil kī lai meñ fikr ko Dhal jaanā chāhiye
ye kahkashāñ bhī TuuT ke ho misroñ meñ jazb
zehn-e-rasā ko itnā to uljhānā chāhiye
ham 'ulysses' ban ke bahut jī chuke magar
yaaro 'husain' ban ke bhī mar jaanā chāhiye
zarre ka raaz mehr ko samjhana chahiye
chhoTi si koi baat ho laD jaana chahiye
KHwabon ki ek naw samundar mein Dal ke
tufan ki mauj mauj se Takrana chahiye
har baat mein jo zahr ke nashtar lagae hain
aise hi dil-jalon se to yarana chahiye
kya zindagi se baDh ke jahannam nahin koi
ye sach hai phir to aag mein jal jaana chahiye
duniya wo shahrah hai bachna muhaal hai
pagDanDiyon ko DhunD ke apnana chahiye
nazmen wo hon ki chiKH paDen sare ahl-e-fan
ninden uDa de sab ki wo afsana chahiye
bahron ko toD toD ke nale mein Dal do
bas dil ki lai mein fikr ko Dhal jaana chahiye
ye kahkashan bhi TuT ke ho misron mein jazb
zehn-e-rasa ko itna to uljhana chahiye
hum 'ulysses' ban ke bahut ji chuke magar
yaro 'husain' ban ke bhi mar jaana chahiye
- Book : auraq salnama magazines (Pg. 502)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.