zarre-zarre se yun KHuda nikla
zarre-zarre se yuuñ ḳhudā niklā
ek tere mire sivā niklā
ham jo bante the sar-phire itne
koī ham se bhī sar-phirā niklā
ham ne khodī khadān hiire kī
aur qismat meñ ko.elā niklā
ishq-bāzī na chal sakī do din
laḌkā vo ishq meñ nayā niklā
shauqiya sher kah rahe the ham
lo jī is meñ bhī to nasha niklā
be-maza chīzeñ jab ikaTThī kiiñ
haa.e un meñ bhī ik maza niklā
shaḳhs vo hī thā jaan se pyārā
aur vo hī to bevafā niklā
ab bhī ḳhud se kahāñ maiñ mil paa.ī
ab bhī kyā merā bachpanā niklā
zarre-zarre se yun KHuda nikla
ek tere mere siwa nikla
hum jo bante the sar-phire itne
koi hum se bhi sar-phira nikla
hum ne khodi khadan hire ki
aur qismat mein koela nikla
ishq-bazi na chal saki do din
laDka wo ishq mein naya nikla
shauqiya sher kah rahe the hum
lo ji is mein bhi to nasha nikla
be-maza chizen jab ikaTThi kin
hae un mein bhi ek maza nikla
shaKHs wo hi tha jaan se pyara
aur wo hi to bewafa nikla
ab bhi KHud se kahan main mil pai
ab bhi kya mera bachpana nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.