zarre zarre se zamin ke guftugu karte rahe
zarre zarre se zamīñ ke guftugū karte rahe
dil ke TukḌoñ kī hamesha justujū karte rahe
jiine vaale chal base sun kar ġham-e-duniyā magar
marne vaale zindagī kī aarzū karte rahe
maiñ to ik jalve meñ un ke sar-ba-sajda ho gayā
shaiḳh-o-zāhid vaqt khone ke vuzū karte rahe
josh meñ aa.e to dāman kī uḌā deñ dhajjiyāñ
hosh meñ aa.e to kāñToñ se rafū karte rahe
kahne vaalā kah gayā do hichkiyoñ meñ rāz-e-ġham
sunñe vaale muddatoñ tak guftugū karte rahe
hazrat-e-'naḳhshab' namāz-e-ishq paḌhne ke liye
ashk-e-chashm-e-shauq se aksar vuzū karte rahe
zarre zarre se zamin ke guftugu karte rahe
dil ke TukDon ki hamesha justuju karte rahe
jine wale chal base sun kar gham-e-duniya magar
marne wale zindagi ki aarzu karte rahe
main to ek jalwe mein un ke sar-ba-sajda ho gaya
shaiKH-o-zahid waqt khone ke wuzu karte rahe
josh mein aae to daman ki uDa den dhajjiyan
hosh mein aae to kanTon se rafu karte rahe
kahne wala kah gaya do hichkiyon mein raaz-e-gham
sunne wale muddaton tak guftugu karte rahe
hazrat-e-'naKHshab' namaz-e-ishq paDhne ke liye
ashk-e-chashm-e-shauq se aksar wuzu karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.