zarur panw mein apne hina wo mal ke chale
zarūr paañv meñ apne hinā vo mal ke chale
na pahuñche aaj bhī ghar tak mire vo kal ke chale
ye dostī hai ki hai saath aag paanī kā
jo niklī aah to saath ashk bhī nikal ke chale
lahad se laa.ī qayāmat hai paañv paḌ paḌ kar
Thahar Thahar ke chale ham machal machal ke chale
hazāroñ Thokareñ har ik qadam par us meñ haiñ
ye rāh-e-ishq hai kyuuñ kar koī sambhal ke chale
ye mujh ko vasl kī shab haa.e maut kyuuñ aa.ī
hinā lagā ke jo aa.e the haath mal ke chale
tumhārī raah meñ chalne kī hai ḳhushī aisī
ki saath naqsh-e-qadam bhī uchhal uchhal ke chale
mazā to aa.e jo leñ riñd baḌh ke hāthoñ-hāth
mazā to aa.e kahīñ se jo mai ubal ke chale
adā se naaz se chalnā qayāmat un kā thā
jo mal ke dil ko kaleje masal masal ke chale
chale vo sham.a jalāne mazār par kis ke
ki saath saath adū aag ho ke jal ke chale
tumhāre gesu-e-pur-pech ne liyā ham ko
ki muñh meñ saañp ke yā muñh meñ ham ajal ke chale
uThā janāza to bolī ye ḳhāna-bardārī
nayā makān hai kapḌe na.e badal ke chale
hazāroñ daaġh haiñ dil meñ jigar meñ lākhoñ zaḳhm
'riyāz' mahfil-e-ḳhūbāñ se phūl-phal ke chale
zarur panw mein apne hina wo mal ke chale
na pahunche aaj bhi ghar tak mere wo kal ke chale
ye dosti hai ki hai sath aag pani ka
jo nikli aah to sath ashk bhi nikal ke chale
lahad se lai qayamat hai panw paD paD kar
Thahar Thahar ke chale hum machal machal ke chale
hazaron Thokaren har ek qadam par us mein hain
ye rah-e-ishq hai kyun kar koi sambhal ke chale
ye mujh ko wasl ki shab hae maut kyun aai
hina laga ke jo aae the hath mal ke chale
tumhaari rah mein chalne ki hai KHushi aisi
ki sath naqsh-e-qadam bhi uchhal uchhal ke chale
maza to aae jo len rind baDh ke hathon-hath
maza to aae kahin se jo mai ubal ke chale
ada se naz se chalna qayamat un ka tha
jo mal ke dil ko kaleje masal masal ke chale
chale wo shama jalane mazar par kis ke
ki sath sath adu aag ho ke jal ke chale
tumhaare gesu-e-pur-pech ne liya hum ko
ki munh mein sanp ke ya munh mein hum ajal ke chale
uTha janaza to boli ye KHana-bardari
naya makan hai kapDe nae badal ke chale
hazaron dagh hain dil mein jigar mein lakhon zaKHm
'riyaz' mahfil-e-KHuban se phul-phal ke chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.