zarurat thi ki jo maidan mein nikle sar-ba-kaf nikle
zarūrat thī ki jo maidāñ meñ nikle sar-ba-kaf nikle
magar ham haiñ ki nikle bhī to le kar chang-o-daf nikle
hamīñ the inqilāb-e-dahr ke paiġhāmbar ik din
hamīñ ai vaa.e ab tīr-e-halākat kā hadaf nikle
hamīñ haiñ ab haqā.eq se jo katrā kar nikalte haiñ
hamīñ the jo masāf-e-zindagī meñ saf-ba-saf nikle
nahīñ dariyā-e-tahzīb-e-navī dariyā-e-zulmat hai
ajab kyā hai ki be-gauhar ho jo us se sadaf nikle
ġhazab kī tīrgī hai raat dekheñ kis tarah guzre
ajab gum-kardagī hai raah dekheñ kis taraf nikle
zamāna hai yazīdoñ aur fir.aunoñ kā kyā kiije
ki jis se kījiye fariyād usī ke muñh se kaf nikle
koī hai jo yahāñ is karbalā meñ jaan par khele
koī hai jo yahāñ ab sūrat-e-shāh-e-najaf nikle
zarurat thi ki jo maidan mein nikle sar-ba-kaf nikle
magar hum hain ki nikle bhi to le kar chang-o-daf nikle
hamin the inqilab-e-dahr ke paighambar ek din
hamin ai wae ab tir-e-halakat ka hadaf nikle
hamin hain ab haqaeq se jo katra kar nikalte hain
hamin the jo masaf-e-zindagi mein saf-ba-saf nikle
nahin dariya-e-tahzib-e-nawi dariya-e-zulmat hai
ajab kya hai ki be-gauhar ho jo us se sadaf nikle
ghazab ki tirgi hai raat dekhen kis tarah guzre
ajab gum-kardagi hai rah dekhen kis taraf nikle
zamana hai yazidon aur firaunon ka kya kije
ki jis se kijiye fariyaad usi ke munh se kaf nikle
koi hai jo yahan is karbala mein jaan par khele
koi hai jo yahan ab surat-e-shah-e-najaf nikle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.