zaruraton ka tamasha nahin banaunga
zarūratoñ kā tamāsha nahīñ banā.ūñgā
maiñ apne haath ko kaasa nahīñ banā.ūñgā
maiñ nange pair phiruñgā jahān bhar meñ magar
kisī kī khaal se juutā nahīñ banā.ūñgā
riyāz karte hue thak na jaa.e ye bachcha
maiñ gintiyoñ se pahāḌā nahīñ banā.ūñgā
agar maiñ rāh-e-siyāsat meñ paañv rakkhūñgā
use kamāne kā dhandā nahīñ banā.ūñgā
mile na mujh ko bajā daam merī mehnat kā
maiñ saaḌī ke liye goTā nahīñ banā.ūñgā
ga.e haiñ jab se yahāñ jail meñ ka.ī baabā
maḌhī banā.ūñgā Derā nahīñ banā.ūñgā
phir is ke ba.ad na Dūbegī chāñdnī merī
maiñ bathtub kabhī gahrā nahīñ banā.ūñgā
nahīñ hai abr yahāñ e'tibār ke qābil
maiñ is makān ko kachchā nahīñ banā.ūñgā
karūñgā pyaar maiñ us ḳhush-jamāl paikar ko
par apnī āñkhoñ meñ ḳhāka nahīñ banā.ūñgā
tumhāre ġham ko piroyā karūñgā ġhazloñ meñ
maiñ apnī aañkh meñ dariyā nahīñ banā.ūñgā
zaruraton ka tamasha nahin banaunga
main apne hath ko kasa nahin banaunga
main nange pair phirunga jahan bhar mein magar
kisi ki khaal se juta nahin banaunga
riyaz karte hue thak na jae ye bachcha
main gintiyon se pahaDa nahin banaunga
agar main rah-e-siyasat mein panw rakkhunga
use kamane ka dhanda nahin banaunga
mile na mujh ko baja dam meri mehnat ka
main saDi ke liye goTa nahin banaunga
gae hain jab se yahan jail mein kai baba
maDhi banaunga Dera nahin banaunga
phir is ke baad na Dubegi chandni meri
main bathtub kabhi gahra nahin banaunga
nahin hai abr yahan e'tibar ke qabil
main is makan ko kachcha nahin banaunga
karunga pyar main us KHush-jamal paikar ko
par apni aankhon mein KHaka nahin banaunga
tumhaare gham ko piroya karunga ghazlon mein
main apni aankh mein dariya nahin banaunga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.