zaruri hai ki har putli nigahon ko dikhai de
zarūrī hai ki har putlī nigāhoñ ko dikhā.ī de
hathelī kī duā qismat kī rekhā ko sunā.ī de
na ashkoñ kā aqīda hai na aahoñ kī ibādat hai
be-vāris dard haiñ mere tū apnī sarbarāhī de
abhī tak āḳhirī hichkī hai merī qabr par kandāñ
kisī zarbat nahīñ chīḳhā mire qātil gavāhī de
suno Dhalvān se sarke to patthar bhī nahīñ bachtā
mujhe nazroñ kī Thokar se na aise alvidā'ī de
maiñ chāhat ek aise moḌ par laane kā qaa.il huuñ
jahāñ par chāhne vaalā ye kahtā hai judā.ī de
mujhe terī hukūmat kī koī hikmat nahīñ aatī
mujhe bas ham-navā.ī de na ra.ī.yat de na shāhī de
jabīñ ke arq kī 'sāgar' ye marzī hai jahāñ Tapke
tū apnī aañkh ke ashkoñ ko gardan kī surāhī de
zaruri hai ki har putli nigahon ko dikhai de
hatheli ki dua qismat ki rekha ko sunai de
na ashkon ka aqida hai na aahon ki ibaadat hai
be-waris dard hain mere tu apni sarbarahi de
abhi tak aaKHiri hichki hai meri qabr par kandan
kisi zarbat nahin chiKHa mere qatil gawahi de
suno Dhalwan se sarke to patthar bhi nahin bachta
mujhe nazron ki Thokar se na aise alwida'i de
main chahat ek aise moD par lane ka qail hun
jahan par chahne wala ye kahta hai judai de
mujhe teri hukumat ki koi hikmat nahin aati
mujhe bas ham-nawai de na raiyat de na shahi de
jabin ke arq ki 'sagar' ye marzi hai jahan Tapke
tu apni aankh ke ashkon ko gardan ki surahi de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.