zaruri kaamon ki fihrist jab banata hun
zarūrī kāmoñ kī fihrist jab banātā huuñ
sivā tumhāre maiñ har baat bhuul jaatā huuñ
maiñ apne sabr ko is tarah āzmātā huuñ
jhulaste sahrā meñ shādābiyāñ ugātā huuñ
mere dimāġh pe haavī hai merā pāgal-pan
purānī āñkhoñ pe chehra nayā lagātā huuñ
jise zamāna samajhtā hai maiñ ne likkhe haiñ
vo tere giit haiñ jin ko maiñ gungunātā huuñ
tamām ḳhvāb sajā kar ḳhud apnī āñkhoñ meñ
maiñ apnī niiñd se aksar fareb khātā huuñ
na jaane kitnī hī bāteñ jo tum se karnī thiiñ
tumhāre sāmne aate hī bhuul jaatā huuñ
kahīñ tabāh na kar deñ ye mustaqil ḳhushiyāñ
udāsiyo maiñ tumheñ is liye bulātā huuñ
zaruri kaamon ki fihrist jab banata hun
siwa tumhaare main har baat bhul jata hun
main apne sabr ko is tarah aazmata hun
jhulaste sahra mein shadabiyan ugata hun
mere dimagh pe hawi hai mera pagal-pan
purani aankhon pe chehra naya lagata hun
jise zamana samajhta hai main ne likkhe hain
wo tere git hain jin ko main gungunata hun
tamam KHwab saja kar KHud apni aankhon mein
main apni nind se aksar fareb khata hun
na jaane kitni hi baaten jo tum se karni thin
tumhaare samne aate hi bhul jata hun
kahin tabah na kar den ye mustaqil KHushiyan
udasiyo main tumhein is liye bulata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.