zaruri shai thi magar hath hi nahin aai
zaruri shai thi magar hath hi nahin aai
Dipak Prajapati Khaalis
MORE BYDipak Prajapati Khaalis
zarūrī shai thī magar haath hī nahīñ aa.ī
hamārī samt kabhī zindagī nahīñ aa.ī
sitam nahīñ ki hameñ ḳhvāb ne rakkhā mahrūm
sitam to ye ki hameñ niiñd bhī nahīñ aa.ī
purānā dost milā par milā ġhurūr ke saath
ki chāñd aaya magar chāñdnī nahīñ aa.ī
ham apne karb to lafzoñ meñ bāñdh sakte haiñ
magar vo log jinheñ shā.erī nahīñ aa.ī
vo ek baat jise bolne ko marte the
vo ek baat hameñ bolnī nahīñ aa.ī
ġhamoñ kā shukr ki ye saath to raheñ tā-umr
ḳhushī kā kyā kabhī aa.ī kabhī nahīñ aa.ī
kisī ne chhup ke kahīñ to bahā.e haiñ aañsū
shadīd dhuup meñ yūñhī namī nahīñ aa.ī
zaruri shai thi magar hath hi nahin aai
hamari samt kabhi zindagi nahin aai
sitam nahin ki hamein KHwab ne rakkha mahrum
sitam to ye ki hamein nind bhi nahin aai
purana dost mila par mila ghurur ke sath
ki chand aaya magar chandni nahin aai
hum apne karb to lafzon mein bandh sakte hain
magar wo log jinhen shaeri nahin aai
wo ek baat jise bolne ko marte the
wo ek baat hamein bolni nahin aai
ghamon ka shukr ki ye sath to rahen ta-umr
KHushi ka kya kabhi aai kabhi nahin aai
kisi ne chhup ke kahin to bahae hain aansu
shadid dhup mein yunhi nami nahin aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.