zau-fishani ka hawala nahin hone wala
zau-fishānī kā havāla nahīñ hone vaalā
shab meñ jugnū se ujālā nahīñ hone vaalā
laakh barsāt ke paanī se na kyoñ bhar jaa.e
rashk-e-dariyā koī naala nahīñ hone vaalā
ik jagah jam.a nahīñ hoñge agar saare charāġh
is añdhere meñ ujālā nahīñ hone vaalā
jo bhī kahnā thā ġhazal meñ mirī vāzeh hai vo
merā har sher maqāla nahīñ hone vaalā
ye mohabbat hai tirī mujh ko jhukā detī hai
sar-nigūñ varna himāla nahīñ hone vaalā
kisī hikmat kisī tadbīr kā dāman thāmo
zer yuuñ sāmne vaalā nahīñ hone vaalā
inkisārī mirī fitrat se juḌī hai 'merāj'
ki alag chāñd se haalā nahīñ hone vaalā
zau-fishani ka hawala nahin hone wala
shab mein jugnu se ujala nahin hone wala
lakh barsat ke pani se na kyon bhar jae
rashk-e-dariya koi nala nahin hone wala
ek jagah jama nahin honge agar sare charagh
is andhere mein ujala nahin hone wala
jo bhi kahna tha ghazal mein meri wazeh hai wo
mera har sher maqala nahin hone wala
ye mohabbat hai teri mujh ko jhuka deti hai
sar-nigun warna himala nahin hone wala
kisi hikmat kisi tadbir ka daman thamo
zer yun samne wala nahin hone wala
inkisari meri fitrat se juDi hai 'meraj'
ki alag chand se haala nahin hone wala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.