zauq-e-ulfat ab bhi hai rahat ka arman ab bhi hai
zauq-e-ulfat ab bhi hai rahat ka arman ab bhi hai
Bashiruddin Ahmad Dehlvi
MORE BYBashiruddin Ahmad Dehlvi
zauq-e-ulfat ab bhī hai rāhat kā armāñ ab bhī hai
dil pareshāñ ruuh tarsāñ chashm-e-giryāñ ab bhī hai
kab sañbhāle se sañbhaltā hai dil-e-pur-iztirāb
āh-e-sozāñ lab par ab bhī siina biryāñ ab bhī hai
sa'ī koshish ke liye maidān hai ab bhī farāḳh
'azm-e-rāsiḳh kī zarūrat ham ko haañ haañ ab bhī hai
tuḳhm meñ roīdagī har naḳhl meñ bālīdgī
mausam-e-sarmā-o-garmā bād-o-bārāñ ab bhī hai
ḳhalq meñ maujūd haiñ ab bhī vahī lā'l-o-guhar
tishna-kāmī-e-sadaf ko abr-e-naisāñ ab bhī hai
shaam bhī hai sub.h bhī hai aur din bhī raat bhī
māh-e-tābāñ ab bhī hai mahr-e-daraḳhshāñ ab bhī hai
'āshiq o mā'shūq bhī haiñ vasl o hijr o rashk bhī
mahr ulfat teġh o ḳhanjar tiir paikāñ ab bhī hai
hai vahī dīvāngī ab bhī vahī shorīdgī
jaib o dāman hadiya-e-ḳhār-e-bayābāñ ab bhī hai
shauq o zauq ab bhī hai baaqī murda-dil ham haiñ to haiñ
apne dil ko hasrat-e-sair-e-gulistāñ ab bhī hai
'ishq kī sūrat jo badle to ho 'āshiq bhī kuchh aur
ye jafā-o-jaur kā har vaqt ḳhvāhāñ ab bhī hai
aa ga.ī piirī magar ab tak hai tū mahv-e-ḳhayāl
ham-sabaq tifloñ kā tū tifl-e-dabistāñ ab bhī hai
garmī-e-mahfil vahī hai jam' haiñ ahbāb bhī
hastī-e-parvāna o sham-e-shabistāñ ab bhī hai
ġhair-mumkin hai badal jaa.e kabhī qānūn-e-haq
hukm-e-yazdāñ ab bhī hai ijrā-e-farmāñ ab bhī hai
kyuuñ musalmānoñ ne badlā haal apnī qaum kā
thā jo qur.āñ bas vahī maujūd qur.āñ ab bhī hai
qashqa bālā-e-jabīñ zunnār hai bālā-e-dosh
ye batā īmān se kyā tū musalmāñ ab bhī hai
ittiqā o zohd se dil-bastagī baaqī nahīñ
dāvā-e-islām jaisā pahle thā haañ ab bhī hai
kho diye ayyām-e-pīrī ne tere hosh-o-havās
ai bashīr-e-be-navā kuchh dil meñ armāñ ab bhī hai
zauq-e-ulfat ab bhi hai rahat ka arman ab bhi hai
dil pareshan ruh tarsan chashm-e-giryan ab bhi hai
kab sanbhaale se sanbhalta hai dil-e-pur-iztirab
aah-e-sozan lab par ab bhi sina biryan ab bhi hai
sa'i koshish ke liye maidan hai ab bhi faraKH
'azm-e-rasiKH ki zarurat hum ko han han ab bhi hai
tuKHm mein roidagi har naKHl mein baalidgi
mausam-e-sarma-o-garma baad-o-baran ab bhi hai
KHalq mein maujud hain ab bhi wahi la'l-o-guhar
tishna-kaami-e-sadaf ko abr-e-naisan ab bhi hai
sham bhi hai subh bhi hai aur din bhi raat bhi
mah-e-taban ab bhi hai mahr-e-daraKHshan ab bhi hai
'ashiq o ma'shuq bhi hain wasl o hijr o rashk bhi
mahr ulfat tegh o KHanjar tir paikan ab bhi hai
hai wahi diwangi ab bhi wahi shoridgi
jaib o daman hadiya-e-KHar-e-bayaban ab bhi hai
shauq o zauq ab bhi hai baqi murda-dil hum hain to hain
apne dil ko hasrat-e-sair-e-gulistan ab bhi hai
'ishq ki surat jo badle to ho 'ashiq bhi kuchh aur
ye jafa-o-jaur ka har waqt KHwahan ab bhi hai
aa gai piri magar ab tak hai tu mahw-e-KHayal
ham-sabaq tiflon ka tu tifl-e-dabistan ab bhi hai
garmi-e-mahfil wahi hai jam' hain ahbab bhi
hasti-e-parwana o sham-e-shabistan ab bhi hai
ghair-mumkin hai badal jae kabhi qanun-e-haq
hukm-e-yazdan ab bhi hai ijra-e-farman ab bhi hai
kyun musalmanon ne badla haal apni qaum ka
tha jo quran bas wahi maujud quran ab bhi hai
qashqa baala-e-jabin zunnar hai baala-e-dosh
ye bata iman se kya tu musalman ab bhi hai
ittiqa o zohd se dil-bastagi baqi nahin
dawa-e-islam jaisa pahle tha han ab bhi hai
kho diye ayyam-e-piri ne tere hosh-o-hawas
ai bashir-e-be-nawa kuchh dil mein arman ab bhi hai
- Deewan-e-Basheer(website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.