zauq-e-wafa-e-ishq na ruswa karenge hum
zauq-e-vafā-e-'ishq na rusvā kareñge ham
taḌpā.eñge huzūr to taḌpā kareñge ham
yuuñ rasm-e-bandagī meñ izāfa kareñge ham
un ko biThā ke sāmne sajda kareñge ham
hāsil-kalām 'ishq meñ aur kyā kareñge ham
banda-navāz aap ko sajda kareñge ham
kyā ġham hai kyā ḳhushī hai na pūchhā kareñge ham
har ruḳh se zindagī kā nazārā kareñge ham
do din kī ziist us pe alam kī ziyādtī
is kā zarūr aap se shikva kareñge ham
ā.īna aa chukā hai barābar subūt meñ
vaisā javāb pā.eñge jaisā kareñge ham
baḌhtā hai ġham-nasīboñ ke rone se aur dukh
ab ābloñ ko apne na chheḌā kareñge ham
dair-o-haram se shaad ki nāshād aa.e haiñ
is baat kā kisī se na charchā kareñge ham
'rāfat' firāq-e-dost ko badnām kyoñ kareñ
sau lutf intizār meñ paidā kareñge ham
zauq-e-wafa-e-'ishq na ruswa karenge hum
taDpaenge huzur to taDpa karenge hum
yun rasm-e-bandagi mein izafa karenge hum
un ko biTha ke samne sajda karenge hum
hasil-kalam 'ishq mein aur kya karenge hum
banda-nawaz aap ko sajda karenge hum
kya gham hai kya KHushi hai na puchha karenge hum
har ruKH se zindagi ka nazara karenge hum
do din ki zist us pe alam ki ziyaadti
is ka zarur aap se shikwa karenge hum
aaina aa chuka hai barabar subut mein
waisa jawab paenge jaisa karenge hum
baDhta hai gham-nasibon ke rone se aur dukh
ab aablon ko apne na chheDa karenge hum
dair-o-haram se shad ki nashad aae hain
is baat ka kisi se na charcha karenge hum
'rafat' firaq-e-dost ko badnam kyon karen
sau lutf intizar mein paida karenge hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.