zawal-e-gulsitan dekha na jae
zavāl-e-gulsitāñ dekhā na jaa.e
ujaḌtā āshiyāñ dekhā na jaa.e
uTho aur mausam-e-gul meñ badal do
agar daur-e-ḳhizāñ dekhā na jaa.e
rahā karte haiñ ham ab us zamīñ par
jahāñ se āsmāñ dekhā na jaa.e
ye ham bāda-kashoñ kī anjuman hai
yahāñ sūd-o-ziyāñ dekhā na jaa.e
kisī bulbul se kyoñ ab shāḳh-e-gul ko
chaman meñ gul-fishāñ dekhā na jaa.e
khaḌe haiñ sar ke bal shaiḳh-o-barahman
dar-e-pīr-e-muġhāñ dekhā na jaa.e
hamāre daur-e-ġhamgīñ meñ kisī se
kisī ko shādmāñ dekhā na jaa.e
na jaane kyoñ kisī mahfil meñ mujh se
kisī ko sargirāñ dekhā na jaa.e
bahut dekhī riyā-kārī-e-ādā
fareb-e-dostāñ dekhā na jaa.e
dayār-e-dair yā sehn-e-haram meñ
hujūm-e-mai-kashāñ dekhā na jaa.e
safar meñ kārvāñ se duur rah kar
ġhubār-e-kārvāñ dekhā na jaa.e
siyāsat ke tan-e-be-jāñ pe 'amjad'
hujūm-e-kargasāñ dekhā na jaa.e
zawal-e-gulsitan dekha na jae
ujaDta aashiyan dekha na jae
uTho aur mausam-e-gul mein badal do
agar daur-e-KHizan dekha na jae
raha karte hain hum ab us zamin par
jahan se aasman dekha na jae
ye hum baada-kashon ki anjuman hai
yahan sud-o-ziyan dekha na jae
kisi bulbul se kyon ab shaKH-e-gul ko
chaman mein gul-fishan dekha na jae
khaDe hain sar ke bal shaiKH-o-barahman
dar-e-pir-e-mughan dekha na jae
hamare daur-e-ghamgin mein kisi se
kisi ko shadman dekha na jae
na jaane kyon kisi mahfil mein mujh se
kisi ko sargiran dekha na jae
bahut dekhi riya-kari-e-ada
fareb-e-dostan dekha na jae
dayar-e-dair ya sehn-e-haram mein
hujum-e-mai-kashan dekha na jae
safar mein karwan se dur rah kar
ghubar-e-karwan dekha na jae
siyasat ke tan-e-be-jaan pe 'amjad'
hujum-e-kargasan dekha na jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.