zawal-e-shab tak wo rafta rafta charagh tanha jo jal raha hai
zawal-e-shab tak wo rafta rafta charagh tanha jo jal raha hai
Javed Siddiqi Azmi
MORE BYJaved Siddiqi Azmi
zavāl-e-shab tak vo rafta rafta charāġh tanhā jo jal rahā hai
vo pal ki jis kā maiñ muntazir thā vo dekho manzar badal rahā hai
fazā meñ ḳhushbū bhī jāñ-fizā hai ajab havāoñ meñ naġhmagī hai
ye kis kī aamad hai kaun hai vo ye dil kyuuñ itnā machal rahā hai
tumheñ zarūrat nahīñ ki pūchho hamāre ghar kā pata kisī se
vahīñ pe ruk kar ke dekh lenā dhuāñ jahāñ se nikal rahā hai
yahī hai anjām zindagī kā lahū meñ Duubā hai dekho sūraj
chamak rahā thā jo āsmāñ par ab us kā saaya bhī Dhal rahā hai
ajab hai yādoñ kā ye tasalsul ki jaise jhaḌiyāñ lagī huī haiñ
yuuñ dil sulagne lagā hai merā dimāġh 'jāved' jal rahā hai
zawal-e-shab tak wo rafta rafta charagh tanha jo jal raha hai
wo pal ki jis ka main muntazir tha wo dekho manzar badal raha hai
faza mein KHushbu bhi jaan-fiza hai ajab hawaon mein naghmagi hai
ye kis ki aamad hai kaun hai wo ye dil kyun itna machal raha hai
tumhein zarurat nahin ki puchho hamare ghar ka pata kisi se
wahin pe ruk kar ke dekh lena dhuan jahan se nikal raha hai
yahi hai anjam zindagi ka lahu mein Duba hai dekho suraj
chamak raha tha jo aasman par ab us ka saya bhi Dhal raha hai
ajab hai yaadon ka ye tasalsul ki jaise jhaDiyan lagi hui hain
yun dil sulagne laga hai mera dimagh 'jawed' jal raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.