zehn aur dil mein ajab jang hui hai is bar
zehn aur dil meñ ajab jañg huī hai is baar
zindagī mom se phir sañg huī hai is baar
terī duniyā jise hairat se sabhī dekhte haiñ
dekh kar mujh ko bahut dañg huī hai is baar
mujh ko badlāo nazar aayā hai ḳhud meñ bhī bahut
har adā us kī bhī be-Dhañg huī hai is baar
maiñ jise ishq kī me.arāj samajh baiThā thā
vo tapasyā bhī mirī bhañg huī hai is baar
fikr ke sahn meñ ma.asūm ġhazal kī titlī
merā ḳhuuñ chuus ke ḳhush-rañg huī hai is baar
maiñ ġhazal ko koī āhañg nahīñ de paayā
to ġhazal ḳhud mirā āhañg huī hai is baar
āsmān-e-suḳhan-o-sher se jo utrī thī
vo zamīñ mujh pe bahut tañg huī hai is baar
zehn aur dil mein ajab jang hui hai is bar
zindagi mom se phir sang hui hai is bar
teri duniya jise hairat se sabhi dekhte hain
dekh kar mujh ko bahut dang hui hai is bar
mujh ko badlao nazar aaya hai KHud mein bhi bahut
har ada us ki bhi be-Dhang hui hai is bar
main jise ishq ki mearaj samajh baiTha tha
wo tapasya bhi meri bhang hui hai is bar
fikr ke sahn mein masum ghazal ki titli
mera KHun chus ke KHush-rang hui hai is bar
main ghazal ko koi aahang nahin de paya
to ghazal KHud mera aahang hui hai is bar
aasman-e-suKHan-o-sher se jo utri thi
wo zamin mujh pe bahut tang hui hai is bar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.