zehn aur dil mein fasla hi raha
zehn aur dil meñ fāslā hī rahā
vaqt zaḳhmoñ se kheltā hī rahā
umr bhar ehtiyāt ke bā vasf
ham pe ilzām-e-kam-nigāhī rahā
ham jise dard-āshnā samjhe
umr bhar sūrat-āshnā hī rahā
ḳhat-e-abyaz nazar kā dhokā thā
shab kā anjām to siyāhī rahā
zehn aur dil mein fasla hi raha
waqt zaKHmon se khelta hi raha
umr bhar ehtiyat ke ba wasf
hum pe ilzam-e-kam-nigahi raha
hum jise dard-ashna samjhe
umr bhar surat-ashna hi raha
KHat-e-abyaz nazar ka dhoka tha
shab ka anjam to siyahi raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.