zehn-e-Khaali se zara socha tha
zehn-e-ḳhālī se zarā sochā thā
vo gumāñ se bhī sivā pyārā thā
haal meñ dekhā jo ik roz use
na vo badlā thā na maiñ badlā thā
jab vo āvāz palaT kar aa.ī
ruuh meñ sifr sā ik gūñjā thā
jaane kyā pur huā mere andar
maiñ bahar-rang-e-digar tanhā thā
saath the gām-ba-gām ek buzurg
naam kuchh hazrat-e-duniyā sā thā
zehn-e-KHali se zara socha tha
wo guman se bhi siwa pyara tha
haal mein dekha jo ek roz use
na wo badla tha na main badla tha
jab wo aawaz palaT kar aai
ruh mein sifr sa ek gunja tha
jaane kya pur hua mere andar
main bahar-rang-e-digar tanha tha
sath the gam-ba-gam ek buzurg
nam kuchh hazrat-e-duniya sa tha
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 80)
- Author :Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.