zehn jab be-asas hota hai
zehn jab be-asās hotā hai
shahr kā shahr udaas hotā hai
das sadī baa'd ye bhī dekh liyā
kaun yuuñ nā-sipās hotā hai
aa.ine par jilā na ho to kahāñ
nuur kā in.ikās hotā hai
dil meñ iblīs ho to dānish par
jahl kā iltibās hotā hai
us se hariyālī duur kar do to
sabza bas zard ghaas hotā hai
saare but nikleñ tab kaheñ ye dil
īshvar kā nivās hotā hai
ek hī dvāre jo navā.e siis
vo manush sachchā daas hotā hai
us kī mahimā kā or chhor nahīñ
daas ban kyoñ nirās hotā hai
ik navā-gar kā dard bāñTne ko
chāñd bhī ās-pās hotā hai
soch ke jism par katāñ se ḳhafī
chāñdnī kā libās hotā hai
zehn jab be-asas hota hai
shahr ka shahr udas hota hai
das sadi ba'd ye bhi dekh liya
kaun yun na-sipas hota hai
aaine par jila na ho to kahan
nur ka inikas hota hai
dil mein iblis ho to danish par
jahl ka iltibas hota hai
us se hariyali dur kar do to
sabza bas zard ghas hota hai
sare but niklen tab kahen ye dil
ishwar ka niwas hota hai
ek hi dware jo nawae sis
wo manush sachcha das hota hai
us ki mahima ka or chhor nahin
das ban kyon niras hota hai
ek nawa-gar ka dard banTne ko
chand bhi aas-pas hota hai
soch ke jism par katan se KHafi
chandni ka libas hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.