zehn jab tere tasawwur mein rawan hota hai
zehn jab tere tasavvur meñ ravāñ hotā hai
tū bhī bole to samā.at pe girāñ hotā hai
rāz-e-pinhāñ to bahar-hāl ayaañ hotā hai
lab jahāñ hilte nahīñ ashk ravāñ hotā hai
apne hone kā jise vahm-o-gumāñ hotā hai
ḳhud se milne kā use vaqt kahāñ hotā hai
laakh koshish pe bhī niklā na samāne vaalā
dil bhī kambaḳht koī andhā kuaañ hotā hai
ek jumbish bhī jahāñ vaj.h-e-halākat Thahrī
koī dīvāna vahīñ raqs-kunāñ hotā hai
ishq ke saath na ġham ho to use kyā kahiye
aag ke saath bahar-hāl dhuāñ hotā hai
azm par 'umr-e-guzashta kī koī qaid nahīñ
jism būḌhā hī sahī azm javāñ hotā hai
tujh ko sochūñ to mirī fikr ġhazal hotī hai
aur jo dekhūñ to ehsās javāñ hotā hai
har amal kā to sila hai isī duniyā meñ 'fahīm'
aadmī ko magar ehsās kahāñ hotā hai
zehn jab tere tasawwur mein rawan hota hai
tu bhi bole to samaat pe giran hota hai
raaz-e-pinhan to bahar-haal ayan hota hai
lab jahan hilte nahin ashk rawan hota hai
apne hone ka jise wahm-o-guman hota hai
KHud se milne ka use waqt kahan hota hai
lakh koshish pe bhi nikla na samane wala
dil bhi kambaKHt koi andha kuan hota hai
ek jumbish bhi jahan wajh-e-halakat Thahri
koi diwana wahin raqs-kunan hota hai
ishq ke sath na gham ho to use kya kahiye
aag ke sath bahar-haal dhuan hota hai
azm par 'umr-e-guzashta ki koi qaid nahin
jism buDha hi sahi azm jawan hota hai
tujh ko sochun to meri fikr ghazal hoti hai
aur jo dekhun to ehsas jawan hota hai
har amal ka to sila hai isi duniya mein 'fahim'
aadmi ko magar ehsas kahan hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.