zehn ka safar tanha dil ki rahguzar tanha
zehn kā safar tanhā dil kī rahguzar tanhā
aadmī huā yaaro aaj kis qadar tanhā
muqtadir sahāroñ kī har qadam pe hājat hai
kab maqām paatā hai apnā ye hunar tanhā
phir mujhe Darā.eñgī ḳhāmushī kī āvāzeñ
phir mujhe hai tai karnā raat kā safar tanhā
jis ke saa.e ne ham ko bārhā panāheñ diiñ
aaj bhī khaḌā hai vo raah meñ shajar tanhā
daur-e-be-niyāzī meñ kaun kis ko pūchhe hai
bhiiḌ meñ bhī paatā hai ḳhud ko har bashar tanhā
zehn ka safar tanha dil ki rahguzar tanha
aadmi hua yaro aaj kis qadar tanha
muqtadir sahaaron ki har qadam pe hajat hai
kab maqam pata hai apna ye hunar tanha
phir mujhe Daraengi KHamushi ki aawazen
phir mujhe hai tai karna raat ka safar tanha
jis ke sae ne hum ko barha panahen din
aaj bhi khaDa hai wo rah mein shajar tanha
daur-e-be-niyazi mein kaun kis ko puchhe hai
bhiD mein bhi pata hai KHud ko har bashar tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.