zehn ke bagh mein khaDa hun main
zehn ke baaġh meñ khaḌā huuñ maiñ
zaḳhm ke phuul bāñTtā huuñ maiñ
gumbad-e-vaqt par chaḌhā huuñ maiñ
ḳhud ko āvāz de rahā huuñ maiñ
na.ī tahzīb kī ziyā huuñ maiñ
apne saa.e se Dar gayā huuñ maiñ
ziist ke khet se akelā hī
dard kī fasl kāTtā huuñ maiñ
yaad rakkhegā koī kyoñ mujh ko
ek jangal kā rāsta huuñ maiñ
mal ke vahshat kī raakh chehre par
shahr meñ apne ghūmtā huuñ maiñ
mujh ko apnā lo maiñ tumhārā huuñ
rāh-e-ulfat kā hādisa huuñ maiñ
zehn ke bagh mein khaDa hun main
zaKHm ke phul banTta hun main
gumbad-e-waqt par chaDha hun main
KHud ko aawaz de raha hun main
nai tahzib ki ziya hun main
apne sae se Dar gaya hun main
zist ke khet se akela hi
dard ki fasl kaTta hun main
yaad rakkhega koi kyon mujh ko
ek jangal ka rasta hun main
mal ke wahshat ki rakh chehre par
shahr mein apne ghumta hun main
mujh ko apna lo main tumhaara hun
rah-e-ulfat ka hadisa hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.