zehn ke charaghon ko muddaton jalaya hai
zehn ke charāġhoñ ko muddatoñ jalāyā hai
tab kahīñ hunar mujh meñ sochne kā aaya hai
aap ye samajhte haiñ yūñhī mil ga.ī mujh ko
is zamīn kī ḳhātir āsmāñ uThāyā hai
jis jagah samundar meñ kashtiyoñ ne dam toḌā
aañkh ne vahī manzar der tak dikhāyā hai
daaġh lagne kā ḳhatra jab bhī baḌh gayā maiñ ne
jism ko kināre rakh ruuh ko bachāyā hai
us ke baad āñkhoñ ne aur kuchh nahīñ dekhā
ek ḳhvāb ne mujh ko umr-bhar jagāyā hai
vaqt hī nahīñ detī sochne samajhne kā
zindagī ne ujlat meñ rāsta dikhāyā hai
manziloñ kī bāteñ bhī ek din kareñge ham
raah meñ abhī ham ne ik qadam baḌhāyā hai
zehn ke charaghon ko muddaton jalaya hai
tab kahin hunar mujh mein sochne ka aaya hai
aap ye samajhte hain yunhi mil gai mujh ko
is zamin ki KHatir aasman uThaya hai
jis jagah samundar mein kashtiyon ne dam toDa
aankh ne wahi manzar der tak dikhaya hai
dagh lagne ka KHatra jab bhi baDh gaya main ne
jism ko kinare rakh ruh ko bachaya hai
us ke baad aankhon ne aur kuchh nahin dekha
ek KHwab ne mujh ko umr-bhar jagaya hai
waqt hi nahin deti sochne samajhne ka
zindagi ne ujlat mein rasta dikhaya hai
manzilon ki baaten bhi ek din karenge hum
rah mein abhi hum ne ek qadam baDhaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.