zehn ke jab ye dariche khule tab yaad aae
zehn ke jab ye darīche khule tab yaad aa.e
apnī barbādī ke phir ham ko sabab yaad aa.e
zindagī bujh ga.ī ik qatra mayassar na huā
tishna-kāmoñ ke lab-e-dariyā vo lab yaad aa.e
raat ḳhvābīda huī chāñd bhī rū-posh huā
ham use yaad bhī aa.e haiñ to kab yaad aa.e
kyā in hāthoñ meñ phir aa.egā nizām-e-ālam
aaj kyā baat hai shāhīn-e-arab yaad aa.e
kyoñ ḳhayālāt meñ ye baat kabhī aa.ī nahīñ
chhin gayā taḳht to phir nām-o-nasab yaad aa.e
ek ik lamha qayāmat se nahīñ kuchh kam thā
aaj kī raat vo yaad aa.e ġhazab yaad aa.e
phir ubhar aa.e mulāqāt ke vo saare nuqūsh
un kī dīvāroñ ke jab ham ko aqab yaad aa.e
āsmānoñ pe ghaTāoñ kā jo ik dekhā hujūm
'shād' maiḳhāne ke vo jām-e-tarab yaad aa.e
zehn ke jab ye dariche khule tab yaad aae
apni barbaadi ke phir hum ko sabab yaad aae
zindagi bujh gai ek qatra mayassar na hua
tishna-kaamon ke lab-e-dariya wo lab yaad aae
raat KHwabida hui chand bhi ru-posh hua
hum use yaad bhi aae hain to kab yaad aae
kya in hathon mein phir aaega nizam-e-alam
aaj kya baat hai shahin-e-arab yaad aae
kyon KHayalat mein ye baat kabhi aai nahin
chhin gaya taKHt to phir nam-o-nasab yaad aae
ek ek lamha qayamat se nahin kuchh kam tha
aaj ki raat wo yaad aae ghazab yaad aae
phir ubhar aae mulaqat ke wo sare nuqush
un ki diwaron ke jab hum ko aqab yaad aae
aasmanon pe ghaTaon ka jo ek dekha hujum
'shad' maiKHane ke wo jam-e-tarab yaad aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.