zehn mein bite hue lamhon ka KHamyaza na tha
zehn meñ biite hue lamhoñ kā ḳhamyāza na thā
Dūbne se qabl gahrā.ī kā andāza na thā
chor ghus aa.e to nangī chaukhaToñ ke din phire
is se pahle mere ghar meñ koī darvāza na thā
lamha lamha zindagī ne ḳharch kar Daalā hameñ
vaqt jab aaya bikharne kā to shīrāza na thā
DhūñD kar marham bhī ham laa.e to aise vaqt meñ
zaḳhm saare bhar chuke the ek bhī taaza na thā
shukr kar mere junūñ kā varna ai ahd-e-ġhazal
ḳhūn-e-dil merā tire ruḳhsār kā ġhāza na thā
zehn mein bite hue lamhon ka KHamyaza na tha
Dubne se qabl gahrai ka andaza na tha
chor ghus aae to nangi chaukhaTon ke din phire
is se pahle mere ghar mein koi darwaza na tha
lamha lamha zindagi ne KHarch kar Dala hamein
waqt jab aaya bikharne ka to shiraaza na tha
DhunD kar marham bhi hum lae to aise waqt mein
zaKHm sare bhar chuke the ek bhi taza na tha
shukr kar mere junun ka warna ai ahd-e-ghazal
KHun-e-dil mera tere ruKHsar ka ghaza na tha
- Book : Dil Parinda Hai (Pg. 67)
- Author : Shakeel Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.