zehn mein KHwabon ke kuchh paikar saja kar rakh diye
zehn meñ ḳhvāboñ ke kuchh paikar sajā kar rakh diye
ham ne apne ghar kī dīvāroñ pe chhappar rakh diye
shīsh-mahloñ ke muhāfiz ne guzishta raat ko
shahr kī galiyoñ meñ āvāzoñ ke patthar rakh diye
haath chhū luuñ to mahak jaa.e vo phūloñ kī tarah
kis ne us ke dil meñ ḳhushbū ke sanobar rakh diye
mere sheroñ se bahut barham haiñ fankārān-e-shahr
maiñ ne zarre āsmānoñ ke barābar rakh diye
maiñ dabā jaatā huuñ apne shahr ke kirdār meñ
apne apne bojh sab ne mere uupar rakh diye
zehn mein KHwabon ke kuchh paikar saja kar rakh diye
hum ne apne ghar ki diwaron pe chhappar rakh diye
shish-mahlon ke muhafiz ne guzishta raat ko
shahr ki galiyon mein aawazon ke patthar rakh diye
hath chhu lun to mahak jae wo phulon ki tarah
kis ne us ke dil mein KHushbu ke sanobar rakh diye
mere sheron se bahut barham hain fankaran-e-shahr
main ne zarre aasmanon ke barabar rakh diye
main daba jata hun apne shahr ke kirdar mein
apne apne bojh sab ne mere upar rakh diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.