zehn-o-dil ko juda juda rakhna
zehn-o-dil ko judā judā rakhnā
mujh se itnā to silsila rakhnā
qurbatoñ kī agar ho ḳhvāhish phir
tum ko lāzim hai fāsla rakhnā
gar ye chāho bharam rahe qaa.em
apne paivand ko chhupā rakhnā
laakh ġham kā dhuāñ rahe dil meñ
apnā chehra khilā khilā rakhnā
toḌ Daale haiñ jis ne sab rishte
ab ta.alluq bhī us se kyā rakhnā
sab ḳhushī dostoñ meñ mat bāñTo
dushmanoñ ke liye bachā rakhnā
ik na ik din vo aa.egā 'rāhī'
apnā darvāza tum khulā rakhnā
zehn-o-dil ko juda juda rakhna
mujh se itna to silsila rakhna
qurbaton ki agar ho KHwahish phir
tum ko lazim hai fasla rakhna
gar ye chaho bharam rahe qaem
apne paiwand ko chhupa rakhna
lakh gham ka dhuan rahe dil mein
apna chehra khila khila rakhna
toD Dale hain jis ne sab rishte
ab talluq bhi us se kya rakhna
sab KHushi doston mein mat banTo
dushmanon ke liye bacha rakhna
ek na ek din wo aaega 'rahi'
apna darwaza tum khula rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.