zehn-o-dil mein KHauf ke jab sarsaraate sanp hain
zehn-o-dil meñ ḳhauf ke jab sarsarāte saañp haiñ
sīdhe ḳhat bhī lagte jaise aaḌe tirchhe saañp haiñ
koī hiila koī mauqa kuchh bahāna chāhiye
zahr ugalne ke liye tayyār baiThe saañp haiñ
kab kahāñ kis moḌ par Das jaa.eñ kis ko hai ḳhabar
aage kitne saañp haiñ aur pīchhe kitne saañp haiñ
aadmī meñ chhup ke baiThā nafs kā jo naag hai
us ke aage hech sab muuzī vishaile saañp haiñ
us kā achchhā honā bhī us ke liye hai ik azaab
peḌ se sandal ke dekheñ kitne lipTe saañp haiñ
ham ne bhī ḳhud ko 'tabassum' ab zamurrad kar liyā
sun rahe haiñ har taraf hī bhes badle saañp haiñ
zehn-o-dil mein KHauf ke jab sarsaraate sanp hain
sidhe KHat bhi lagte jaise aaDe tirchhe sanp hain
koi hila koi mauqa kuchh bahana chahiye
zahr ugalne ke liye tayyar baiThe sanp hain
kab kahan kis moD par Das jaen kis ko hai KHabar
aage kitne sanp hain aur pichhe kitne sanp hain
aadmi mein chhup ke baiTha nafs ka jo nag hai
us ke aage hech sab muzi wishaile sanp hain
us ka achchha hona bhi us ke liye hai ek azab
peD se sandal ke dekhen kitne lipTe sanp hain
hum ne bhi KHud ko 'tabassum' ab zamurrad kar liya
sun rahe hain har taraf hi bhes badle sanp hain
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.