zehn-o-dil par yun to ragDi hain barabar eDiyan
zehn-o-dil par yuuñ to ragḌī haiñ barābar eḌiyāñ
shā'irī kī kar na paa.e phir bhī ham tar eḌiyāñ
haq-bayānī is qalam se phir to mumkin hī nahīñ
haiñ hukūmat kī agar rakkhī qalam par eḌiyāñ
ab use bhī ḳhud-numā.ī kī zarūrat paḌ ga.ī
vo bhī ab chalne lagā apnī uThā kar eḌiyāñ
jin ke pairoñ ko yahāñ chappal kabhī miltī nahīñ
un se pūchho kaise ban jaatī haiñ patthar eḌiyāñ
koī kitnā bhī sañvāre ho nahīñ saktīñ kabhī
tum se achchhī tum se behtar tum se sundar eḌiyāñ
ek hī dar kā gadā huuñ merā mālik ek hai
maiñ na ragḌūñgā kabhī 'ilyās' dar-dar eḌiyāñ
zehn-o-dil par yun to ragDi hain barabar eDiyan
sha'iri ki kar na pae phir bhi hum tar eDiyan
haq-bayani is qalam se phir to mumkin hi nahin
hain hukumat ki agar rakkhi qalam par eDiyan
ab use bhi KHud-numai ki zarurat paD gai
wo bhi ab chalne laga apni uTha kar eDiyan
jin ke pairon ko yahan chappal kabhi milti nahin
un se puchho kaise ban jati hain patthar eDiyan
koi kitna bhi sanware ho nahin saktin kabhi
tum se achchhi tum se behtar tum se sundar eDiyan
ek hi dar ka gada hun mera malik ek hai
main na ragDunga kabhi 'ilyas' dar-dar eDiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.