zehn pamal guzargahon pe chalna dushwar
zehn pāmāl guzargāhoñ pe chalnā dushvār
aur is bhiiḌ se bach kar bhī nikalnā dushvār
sochte rahne se hālāt badalnā dushvār
aur ḳhvāboñ ke jazīroñ se nikalnā dushvār
kyā bayāñ kījiye andoh-e-ġharīb-ul-vatanī
sūrat-e-hāl kā alfāz meñ Dhalnā dushvār
sar meñ shorīdgī aisī ki Thaharnā mushkil
paañv meñ aable itne haiñ ki chalnā dushvār
chand sham.oñ se ujālā nahīñ hone vaalā
aisī āñdhī hai ki sūraj kā bhī jalnā dushvār
jab use yaad kiyā khil uThe gul-hā-e-nashāt
ham samajhte the balāoñ kā hai Talnā dushvār
zehn pamal guzargahon pe chalna dushwar
aur is bhiD se bach kar bhi nikalna dushwar
sochte rahne se haalat badalna dushwar
aur KHwabon ke jaziron se nikalna dushwar
kya bayan kijiye andoh-e-gharib-ul-watani
surat-e-haal ka alfaz mein Dhalna dushwar
sar mein shoridgi aisi ki Thaharna mushkil
panw mein aable itne hain ki chalna dushwar
chand shamon se ujala nahin hone wala
aisi aandhi hai ki suraj ka bhi jalna dushwar
jab use yaad kiya khil uThe gul-ha-e-nashat
hum samajhte the balaon ka hai Talna dushwar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.