zehn par musallat hai KHauf ki faza jaise
zehn par musallat hai ḳhauf kī fazā jaise
pesh aane vaalā hai koī hādsa jaise
vaqt biit jaatā hai chhoḌ kar nuqūsh apne
aa.ine se chehroñ par harf-e-be-sadā jaise
kitnā tez jhoñkā thā mushk-bū havāoñ kā
qāfila bahāroñ kā le uḌī sabā jaise
jab havā muḳhālif thī thā na ham-navā koī
ab havā muāfiq hai sab haiñ ham-navā jaise
raushnī kā hotā hai zehn meñ jhamāka sā
vo lab-e-tabassum hai barq-āshnā jaise
merī fikr bhī goyā ġhair kī amānat hai
mere fan pe haavī hai koī dūsrā jaise
aap se 'asar' sāhib lag rahā hai Dar ham ko
aap bhī to lagte haiñ ek pārsā jaise
zehn par musallat hai KHauf ki faza jaise
pesh aane wala hai koi hadsa jaise
waqt bit jata hai chhoD kar nuqush apne
aaine se chehron par harf-e-be-sada jaise
kitna tez jhonka tha mushk-bu hawaon ka
qafila bahaaron ka le uDi saba jaise
jab hawa muKHalif thi tha na ham-nawa koi
ab hawa muafiq hai sab hain ham-nawa jaise
raushni ka hota hai zehn mein jhamaka sa
wo lab-e-tabassum hai barq-ashna jaise
meri fikr bhi goya ghair ki amanat hai
mere fan pe hawi hai koi dusra jaise
aap se 'asar' sahib lag raha hai Dar hum ko
aap bhi to lagte hain ek parsa jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.