zehnon mein is safar ke andhere utar na jaen
zehnoñ meñ is safar ke añdhere utar na jaa.eñ
bachchoñ kā baḌh ke haath pakaḌ lo ki Dar na jaa.eñ
tahzīb apne daur-e-madārij ko tai kare
ham qadroñ ke asiir rihā.ī se mar na jaa.eñ
sun to rahe haiñ bhūtoñ ke qissoñ ko ġhaur se
pariyoñ kī dāstāneñ hamārī bikhar na jaa.eñ
ab ke vatan se lauT ke pardes jaao to
āñkhoñ se yaad ban ke ye lā'l-o-guhar na jaa.eñ
kyā jaane is ma'āsh kī kab kyā giraft ho
parvāz maañd ho bhī to ye bāl-o-par na jaa.eñ
zehnon mein is safar ke andhere utar na jaen
bachchon ka baDh ke hath pakaD lo ki Dar na jaen
tahzib apne daur-e-madarij ko tai kare
hum qadron ke asir rihai se mar na jaen
sun to rahe hain bhuton ke qisson ko ghaur se
pariyon ki dastanen hamari bikhar na jaen
ab ke watan se lauT ke pardes jao to
aankhon se yaad ban ke ye la'l-o-guhar na jaen
kya jaane is ma'ash ki kab kya giraft ho
parwaz mand ho bhi to ye baal-o-par na jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.