zer-e-hulqum hai sahra ki tapish ka aalam
zer-e-hulqūm hai sahrā kī tapish kā 'ālam
mujh ko mā'lūm hai sahrā kī tapish kā 'ālam
aaj sūraj kī tapish kam hai to dekho dekho
aaj maġhmūm hai sahrā kī tapish kā 'ālam
mere andar kā chhupā qais ye bolā mujh se
mujh se mausūm hai sahrā kī tapish kā 'ālam
zindagī merī bhī ik she'r ke jaisī hai aur
jis kā mafhūm hai sahrā kī tapish kā 'ālam
aaj kuchh lafz rakhe ret par apne ham ne
aur mā'dūm hai sahrā kī tapish kā 'ālam
zer-e-hulqum hai sahra ki tapish ka 'alam
mujh ko ma'lum hai sahra ki tapish ka 'alam
aaj suraj ki tapish kam hai to dekho dekho
aaj maghmum hai sahra ki tapish ka 'alam
mere andar ka chhupa qais ye bola mujh se
mujh se mausum hai sahra ki tapish ka 'alam
zindagi meri bhi ek she'r ke jaisi hai aur
jis ka mafhum hai sahra ki tapish ka 'alam
aaj kuchh lafz rakhe ret par apne hum ne
aur ma'dum hai sahra ki tapish ka 'alam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.