zer-e-zamin utar gae ya sar-e-asman gae
zer-e-zamīñ utar ga.e yā sar-e-āsmāñ ga.e
pesh-ravān-e-rāh-e-zīst kaun kahe kahāñ ga.e
koī rahā na aas paas ai dil-e-dost-nā-shanās
chhoḌ ke tujh ko mahv-e-yās sab tire mehrbāñ ga.e
arsa-e-ārzū meñ thiiñ yuuñ to hazār vus.ateñ
tere qarīb hī rahe ahl-e-vafā jahāñ ga.e
hosh ke marhaloñ meñ ik marhala-e-junūñ bhī thā
vādī-e-vahm se sabhī fikr ke kārvāñ ga.e
jab bhī havā-e-dasht ne ahl-e-junūñ ko dī sadā
mauj-e-shamīm-e-gul ke saath ham bhī kashāñ kashāñ ga.e
kaise vo log the jinheñ be-ḳhabarī qubūl thī
ham to junūn-e-āgahī le ke ga.e jahāñ ga.e
ahd-e-junūñ ke mashġhale vaqt ne sab badal diye
shauq kī laġhzisheñ ga.iiñ zabt ke imtihāñ ga.e
āḳhir-e-kār ḳhāmushī hī se khule diloñ ke raaz
harf-e-suḳhan zabāñ pe jo aa.e the rā.egāñ ga.e
hosh kī jur.ateñ tamām hadd-e-yaqīñ pe ruk ga.iiñ
ḳhalvat-e-nāz tak tirī sirf mire gumāñ ga.e
zehn kī chob-e-ḳhushk ko phūñk ga.ī suḳhan kī aañch
dūd-e-navā ke dā.ere jaane kahāñ kahāñ ga.e
zer-e-zamin utar gae ya sar-e-asman gae
pesh-rawan-e-rah-e-zist kaun kahe kahan gae
koi raha na aas pas ai dil-e-dost-na-shanas
chhoD ke tujh ko mahw-e-yas sab tere mehrban gae
arsa-e-arzu mein thin yun to hazar wusaten
tere qarib hi rahe ahl-e-wafa jahan gae
hosh ke marhalon mein ek marhala-e-junun bhi tha
wadi-e-wahm se sabhi fikr ke karwan gae
jab bhi hawa-e-dasht ne ahl-e-junun ko di sada
mauj-e-shamim-e-gul ke sath hum bhi kashan kashan gae
kaise wo log the jinhen be-KHabari qubul thi
hum to junun-e-agahi le ke gae jahan gae
ahd-e-junun ke mashghale waqt ne sab badal diye
shauq ki laghzishen gain zabt ke imtihan gae
aaKHir-e-kar KHamushi hi se khule dilon ke raaz
harf-e-suKHan zaban pe jo aae the raegan gae
hosh ki juraten tamam hadd-e-yaqin pe ruk gain
KHalwat-e-naz tak teri sirf mere guman gae
zehn ki chob-e-KHushk ko phunk gai suKHan ki aanch
dud-e-nawa ke daere jaane kahan kahan gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.