zer hone na diya himmat-e-ali ne mujhe
zer hone na diyā himmat-e-ālī ne mujhe
sar-kashīda hī rakhā sarv-ḳhayālī ne mujhe
itne chehre to na the arzañg-e-mānī ko nasīb
jitne chehre diye ā.īna-ḳhayālī ne mujhe
maiñ ne mansūb kiyā ḳhūn-e-jigar se varna
sher baḳhshe tire ruḳhsār kī laalī ne mujhe
dil ne razzāq-e-do-ālam ko pukārā kyā kyā
rah meñ rokā jo kisī dast-e-savālī ne mujhe
ye qalam-rū-e-suḳhan hai to chalo yuuñ hī sahī
mulk tafvīz kiyā jo mire vaalī ne mujhe
zer hone na diya himmat-e-ali ne mujhe
sar-kashida hi rakha sarw-KHayali ne mujhe
itne chehre to na the arzang-e-mani ko nasib
jitne chehre diye aaina-KHayali ne mujhe
main ne mansub kiya KHun-e-jigar se warna
sher baKHshe tere ruKHsar ki lali ne mujhe
dil ne razzaq-e-do-alam ko pukara kya kya
rah mein roka jo kisi dast-e-sawali ne mujhe
ye qalam-ru-e-suKHan hai to chalo yun hi sahi
mulk tafwiz kiya jo mere wali ne mujhe
- Book : Sarkashidah (Pg. 174)
- Author : Sahba Akhtar
- Publication : Maktaba-e-Nadeem ke airia ko rangi Karachi (1977)
- Edition : 1977
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.